साइट मैप बनाकर गूगल में कैसे सबमिट करें || Sitemap Banakar Google Me Kaise Add Kare || How To Make Sitemap || Wapkiz || PHP || Blogger हिंदी 2018 - SqlHackerz.Com - SqlHackerz

SqlHackerz.ML: Latest Technology And Pubg Mobile Hacking Tutorials In Hindi

Breaking

Home Top Ad

Post Top Ad

Friday, June 1, 2018

साइट मैप बनाकर गूगल में कैसे सबमिट करें || Sitemap Banakar Google Me Kaise Add Kare || How To Make Sitemap || Wapkiz || PHP || Blogger हिंदी 2018 - SqlHackerz.Com

साइट मैप बनाकर गूगल में कैसे सबमिट करें || Sitemap Banakar Google Me Kaise Add Kare || How To Make Sitemap || Wapkiz || PHP || Blogger हिंदी 2018 - SqlHackerz.Com

साइट मैप बनाकर गूगल में कैसे सबमिट करें || Sitemap Banakar Google Me Kaise Add Kare || How To Make Sitemap || Wapkiz || PHP || Blogger हिंदी 2018 - SqlHackerz.Com

Hello Dosto Aaj Ki Post Me Hum Sikhenge Ki Apni Kisi Bhi Website ka Sitemap Banakar Google Me Kaise Add Kare, Our Is Post Me Mai Aapko Wapkiz/Php/Blogger Blog Teeno Ke Sitemap Banakar Submit Karna Batane Wala Hu. Our Pichle Post Ke Jaise Hi Is Post Me Bhi Mene Aapko Aasani Se Samjhane Ki Koshish Ki Hai Agar Aapko Meri Post Pasand Aati Hai To Share Zaroor Karein. To Dosto Chaliye Sikhte Hein !

Our Agar Aapne Humara Pichla Post Na Padha Ho To Pehle Aap Usko Padhe

किसी भी वेबसाइट को गूगल में ऐड कैसे करे || Website Ko Google Search Consol Me Kaise Add Kare || Google Webmaster Tool || Wapkiz Website || Php Website || Blogger Blog 

Dosto Isse Pehle Aapko Me Bata Deta Hu Ki Hume Sitemap Kyu banana Chahiye

1.Apni Website Ko Fully Google add Karne Ke Liye Hume Sitemap Banana Chahiye

2.Isse Humari Website Ke Saare Pages Google Me Show Karte Hein

3. jab Bhi Hum Koi New Page Ya Content Apni Website Me Add Karte Hein To Google Usko 
Autometically Apne Search Engine Me Add Kar Leta Hai.

4.Hume baar Baar Apne Page Ko Google Me Submit Nahi Karna Padta Hai.

5. Humari Website Par Visitors Badhte Hein Our Website Ko RANK Karne Me Aasani Hoti Hai.
6.Google Ko Humari Website Crowl Karne Me Aasani Hoti He.

Iske Alawa Bhi Google Me Sitemap Ko Submit Karne Ke Bahut Saare Reason Hai.
To Dosto Ab Aap Samajh Gaye Honge Ki Hum Apni Website ka Sitemap Kyu Banate Hein. To Chaliye Dosto Sikhte Hein Ki Apni Website Ka Sitemap Banakar Usey Google Me Kaise Add Kare.

1.Wapkiz Website Ka Sitemap Kaise Banaye Our Google Me Kaise Add Kare ?
2.PHP Website Ka Sitemap Kaise Banaye Our Google Me Kaise Add Kare ?
3.Blogger Blog Ka Sitemap Kaise Banaye Our Google Me Kaise Add Kare ?

1. Wapkiz Website : Dosto Wapkiz Website Ka Sitemap Banane Ke Liye Aapko Sabse Pehle Xml Sitemap Generator Ki Website Par jana Hoga Neeche Di Gai Steps Ko Follow Kare.

Step 1. Sabse Pehle XML SITEMAP GENERATOR Par Jaaye.

Step 2. Ab Neeche Diye Gayi Image Ko Dekhe Kuch Is Type Ka Page Hoga.

साइट मैप बनाकर गूगल में कैसे सबमिट करें || Sitemap Banakar Google Me Kaise Add Kare || How To Make Sitemap || Wapkiz || PHP || Blogger हिंदी 2018 - SqlHackerz.Com
1. Sabse Pehle Aap Apni Website Ka URL (Domain Name) Enter Karein. 
Note: Agar Aap Https Ka Use Karte Hein To https Ke Saath Hi Apna (Domain) URL Enter Karein.

2. Include "Page Last Modification" attribute Wale Optione Ko Eneble Kare (Eneble Nahi Hai To).

3. Automatically Calculate "Page Priority" Attribute Wale Option Ko Bhi Eneble Kare (Eneble Nahi Hai To).
4. Page "Change Frequency" Attribute Wale Feuture Par Allways Select Kare.

5. Ab Aapko Start Button Par Click Karna Hai.


Step 3. Dosto Start Button Par Click Karte Hi Aapki Website Ka Sitemap Generate Hona Start Ho Jaayega Uske Baad Jab Sitemap Generate Ho Jaaye Tab Aapko View Sitemap Details Ke Option Par Click Karna Hai.

Step 4. Ab Aap View Full Xml Sitemap Wale Option Par Click Karke Ana Sitemap Dekh Sakte Hein,
Aapke Saamne Aapki Website Ke Saare URL (LINKKi List Aajayegi.
Ya Phir Aap Apne Browser Me example.com/sitemap.xml Likhkar Enter Kare Aapki Website Ki Sitemap Open Ho Jaayegi.
Example: www.djprincerajmix.com/sitemap.xml
Aap Apni Website ka Name Likhkar / lagakar sitemap.xml likhe Our Enter Karein.


To Dosto humne Sikh Liya hai Ki Wapkiz Website Ka Sitemap Kaise Banaye Dosto Aap Thik Isi tarah Sabhi Website Ka Sitemap Genarate Kar Sakte Hein But Unhe Google Me Submit Karne Ki Alag Alag Process Hoti Hai To Chaliye  Ab Me Aapko Bataunga Ki Apni Sitemap Ko Google Search Consol Me Kaise Add Karein !

Wapkiz Ka Sitemap Search Consol Me Kaise Submit Kare !

Dosto Wapkiz Website Ka Sitemap Submit Karne Ke Liye Neeche Di Gayi Steps Follow Kare.

Step 1. Dosto Sabse Pehle Aapko Google Search Consol Me Login Karna Hai.

Step 2. Login Karne Ke Baad Aap Dekhenge Ki Aapki Website Ka Link Waha Par Show Kar Raha Hoga, Agar Aapne Apni Website Ko Google Me Add Kiya Hoga Tab Agar Nahi Kiya Hai To Neeche Ki Post Ko Zaroor Padhe.
Wapkiz Website Ko Google Me Kaise Add Kare
Ab Aapko Apni Website Ke Link Par Click Karna Hai.

Step 3. Jaise Hi Aap Apni Website Ke Link Par Click Karenge To Aapki Website Ki Saari Details Open Ho Jaayegi.

Step 4. Ab Aap Left Slide Ke Option Me Dekhenge Waha Aapko Crowl Ka Option Show Hoga Aapko Uspar Click Karna Hai.

Step 5. Jaise Hi aap Crowl Ke Option Par Click Karenge To Neeche Side Sitmap Likha Hoga Uspar Click Kare.

Step 6. Ab Aapke Saamne Ek Option Aajayega Add/Test Sitemap Ka To Aapko Uspar Click Karna Hai.

Step 7.  Ab Ek New Popup Option Open Hoga Waha aapki Site Ka Name Hoga Uske Saamne Waale Box Me Aapko sitmap.xml Likhna Hai.
साइट मैप बनाकर गूगल में कैसे सबमिट करें || Sitemap Banakar Google Me Kaise Add Kare || How To Make Sitemap || Wapkiz || PHP || Blogger हिंदी 2018 - SqlHackerz.Com
Yaad Rahe Aap Jab sitmap.xml Likhe To Wo Small Latters Me Hi Ho.

Step 8. Ab Aapko Submit Button Par Click Karna Hai.

Congratulations Ab Aapki Website Ka Sitemape Submit Ho Gaya Hai Aap Ek Bar Page Ko Reffresh Karke Aapne Index Huye Page Dekh Sakte Hein. 24Hrs Ke Baad.


2. PHP Website : Dosto PHP Website Ka Sitemap Banane Ke Liye Bhi Aapko Same Wapkiz Website Ke Jaise Hi Process Karni Padegi But Aapko Php Website Ke Liye .xml File Download Karni Padegi.
Aap Steps Follow Karein.


Step 1. Sabse Pehle Aapko Xml Sitemap Generator Wali Website Par jaana Hai.

Step 2. Apni Website Ka URL (Domain Name) Daalkar Aapko Neeche Diya Gaye Options Ko Bhi Same Waise Hi Select Karna Hai Jaise Humne Wapkiz Ke Liye Kiya Tha.

Step 3. Ab Aapko Start Button Par Click Karna Hai.

Step 4. Jaise Hi Aap Start Buttons Par Click Karenge Wese Hi Sitemap Generate Hona Start Ho Jaayega.

Step 5. Sitemap Generate Hone Ke Baad Aapko "Download Your Xml Sitemap File" Wale Option Par Click Karna Hai.

Step 6. Ab Aapki Sitemap Ki File Download Ho Gayi Hogi.

Step 7. Ab Aapko Apni PHP Website Ke Cpanel Me Login Karna hai.

Step 8. Cpanel Login Karne Ke baad Aapko File Maneger Wale Option Me Jaana Hai

Step 9. File Maneger Par Click Karne Ke Baad Aapko Apni Website Ke Root Folder Ko Open Karna Hai. (Agar Aapne Apni Website Ki Script Public_html Me Upload Ki Hai To Aap Public_html Me Jaaye)

Step 10. Ab Aapko Apni Website Ke Root Folder Me Jo .xml File Upload Karni Hai.(Jo Humne Download Ki Thi)

Step 11. .xml File Ko Upload Karne Ke Baad Usey RENAME Kana Hai sitemap.xml Se.

Step 12. Ab Aapko Search Consol Me Jaana Hai.

Step 13. Search Consol Me Jaane Ke Baad Aapki Website Ki Link Par Click Karna Hai.

Step 14. Ab Aap Left Slide Ke Option Me Dekhenge Waha Aapko Crowl Ka Option Show Hoga Aapko Uspar Click Karna Hai.

Step 15.Jaise Hi aap Crowl Ke Option Par Click Karenge To Neeche Side Sitmap Likha Hoga Uspar Click Kare.

Step 16. Ab Aapke Saamne Ek Option Aajayega Add/Test Sitemap Ka To Aapko Uspar Click Karna Hai.

Step 17.  Ab Ek New Popup Option Open Hoga Waha aapki Site Ka Name Hoga Uske Saamne Waale Box Me Aapko sitmap.xml Likhna Hai Our Submit Kar Dena Hai.

Congratulations Ab Aapki Php Website Ka Sitemap Submit Ho Gaya Hai Aap Ek Bar Page Ko Reffresh Karke Aapne Index Huye Page Dekh Sakte Hein. 24Hrs Ke Baad.



3. Blogger Blog : Dosto Ye Kaam Bahut Aasan Hai Agar Aapka Blog Blogger.Com Par Bana Hai To Aapko Sitemap Generate Karne Ki Koi Zaroorat nahi Hai Kyuki Blogger Ka Sitemap Automatically Generate Ho Jaata Hai, 
Blogger Ka Sitemap Submit Karne Ke Liye Neeche Di Gayee Steps Ko Follow Kare.


Step 1. Sabse Pehle Aapko Search Consol Me Jaana Hai.

Step 2. Search Consol Me Jaane Ke Baad Aapko Apne Blog Ki Link Par Click Karna Hai.

Step 3. Ab Aap Left Slide Ke Option Me Dekhenge Waha Aapko Crowl Ka Option Show Hoga Aapko Uspar Click Karna Hai.

Step 4.Jaise Hi aap Crowl Ke Option Par Click Karenge To Neeche Side Sitmap Likha Hoga Uspar Click Kare.

Step 5. Ab Aapke Saamne Ek Option Aajayega Add/Test Sitemap Ka To Aapko Uspar Click Karna Hai.

Step 6.  Ab Ek New Popup Option Open Hoga Waha aapki Site Ka Name Hoga Uske Saamne Waale Box Me Aapko sitmap.xml Likhna Hai Our Submit Kar Dena Hai.

Congratulations Ab Aapka Blogger Blog Ka Sitemap Submit Ho Gaya Hai Aap Ek Bar Page Ko Reffresh Karke Aapne Index Huye Page Dekh Sakte Hein. 24Hrs Ke Baad.



Dosto Mujhe Ummid Hai Ki Mera Ye Post Aap Sabhi Ke Kaam Aayega Agar Aapko Koi Bhi Pareshani Aarahi Hai Apni Website Ka Sitemap Submit Karne Me To Aap Mujhe Comments Me Zaroor Bataye Me aapki Poori Help Karunga,
Our Agar Aap Aise Hi Post Praapt Karna Chahte Hein To Humari Website Ko Subscribe Zaroor Karein Our Is Post Ko Apne Dosto Ke Saath Share Bhi Kare.


Thanks For Reading

No comments:

Post a Comment

Post Bottom Ad