All About -Website | Blogger | Adsense | Trafic | SEO | Q & A In Hindi - 2018 - SqlHackerz

SqlHackerz.ML: Latest Technology And Pubg Mobile Hacking Tutorials In Hindi

Breaking

Home Top Ad

Post Top Ad

Sunday, July 15, 2018

All About -Website | Blogger | Adsense | Trafic | SEO | Q & A In Hindi - 2018

All About -Website | Blogger | Adsense | Earning | Trafic | SEO | Q & A In Hindi - 2018

| Blogger | Adsense | Trafic | SEO | Q & A In Hindi - 2018

Hello Dosto Aaj Me Aapko Batane Wala Hu Ki Aapko Apni Website Banane Se Pehle Kya Karna Bahut Zaroori Hai Our Kyu Zaroori Hai.
Dosto Agar Aapko Lagta Hai Ki Me Aapko Is Post Me Website Banana Sikhane Wala Hu To Aap Is Post Ko Skip Kar De Kyuki Me aaj Website Banana Nahi Batane Wala Hu Balki Aaj Me Aapko Batane Wala Hu Ki Apni Website Banane Ke Baad Aapko Kya Karna Chahiye.

Dosto Is Topic Ko Maine Isliye Liya Hai Kyuki Bahut Saare Log Aise Hai Jo Apni Website To Bana Lete Hein But Apni Website Ko Manage Nahi Kar Pate Hein. To Aaj Me Aapko Kuch Tips Dene Wala Hu Jo Aapke Bahut Kaam Aane Waali Hein.

Website Kaisi Banaye ?

Dosto Sabse Pehle To Aapko Ye D-Side Karna Hoga Ki Aap Kounsa Kaam Acche Se Kar Sakte Hein.
Kyuki Website Hum Kisi Bhi Topic Par Bana Sakte Hein But Jo Kaam Aap Thik Se Kar Sakte Hein Usise Related Website Banaye.

For Example: Agar Aap Ek Singer-Music Producer-Mixer-Ya Koi Dj Hein To Aapko Apni Website Music Se Related Banani Padegi.

To Dosto Ab Aap Samajh Gaye Hein Ki Aapko Kaise D-Side Karna Hai Ki Aapko Website  Kounsi Banani Hai.

Website Banane Ke Liye Kya Kare ?

Dosto Aapko Agar Koi Bhi Website Banani HAi To Ye Koi Zaroori Nahi Hai Ki Aapko Saari Programing Language Ka Knowladge Hona Zaroori Hai.
Aap YouTube Google Search Karke Bhi Apni Website Aasani Se Bana Sakte Hein Ya Aap Humari Website Se Bhi Apni Website Banana Sikh Sakte Hein.
Ya Aap Website Banwane Ke Liye Hume Contact Kar Sakte Hein.


Website Ka Desighn Kaisa Rakhe ?

Dosto Apni Website Ka Desighn Humesha User Friendly Rakhein Jisse Aapki Website Par Aane Wale Visitors Ko Aapki Service Lene Me Koi Pareshani Na Ho.
Ye Baat Khud Google Bolta Hai Ki "Aap Apne Visitors Ke Liye Website Banaiye Gooogle Ke Liye Nahi !"  To Dosto Agar Aapki Website Blogger Par Hai To Aap Simple Our Responsive Themes Ka Hi Use Karein.
Our Agar Aapki Koi Our Downloading Website Hai To Aap Apni Website Ke Content Ka Download Link Aisa Rakhe Jisse Visitors Ko Aapki website se koi bhi content download karne me koi pareshani na ho.

Website Banane Ke baad Kya Kare ?

Dosto Apni Website Poori Tarah Se Complete Karne Ke Baad Aap Usko Direct Google Me Add Na Karein.
Sabse Pehle Aap Apni Website Me Kamse Kam 50+ Conteints Ki Quantity Rakhein Zyada Ho To Our Accha Hai.
Uske Baad Apni Website Ko Ek Baar Our Check Kar Lein Ki Kahin Koi Kami To Nahi He.

Ex: Broken links checker tool ka use karke apni website ke broken url fix karein our apni website ke meta tags ko thik se check kar lein.
Our Sabse pehle apni website ka ek sitemap banakar apni website me sitemap ka link bhi daal dein.
Uske Baad Apni Website KoGoogle Me Sahi Se add karein.

Website Par Trafic Kaise Badhaye ?

Dosto Ye Sabse Main Topic Hai. Kyuki Bahut Saare Log apni website to bana lete hein but unki website par trafic nahi aata hai.
To dosto aapko me yaha batana chahunga ki website ka seo karna bahut zarori hota hai our apni website ko google me sahi se add karna hota hai.
Our Dosto SEO Me sabse zaroori hota hai backlinks.
backlinks wo link hain jo aapki website ko dusri website se milte hein me iske baare me ek our topic likhunga but abhi me aapko short me bata deta hu.


Dosto Backlinks Hume Aasani Se Mil Sakte hein But Iske Liye Aapko Thoda Time Dekar dusri website par apni website ko link karwana padega.
Link Karwane ke liye aapko apni website ka link website ke forum ya comment box me paste karna hota hai.
aise hi bahut jagah apni website ka link share karna hota hai our agar aapka koi friend hai jiski website par accha trafic aata hai to aap usey bolkar apni website ka link apne friend ki website ke saath add karwana hoga. add karwana matlab wo aapki website ke link ko apni uski website ke footer me laga sakta hai.
jisse agar koi user uski website par aayega to uske chances ho jaate hein ki wo aapki website ka link dekhkar aapki website par bhi visite kar le.


Matlab Saara Kaam Hum Google Ko Show Karwane ke liye kar rahe hein ki humari website dusri badi website se connected hein matlab humari website par bhi acche conteint hein.


Website Se Earning Kaise Karein ?

Dosto Sabse Last Me Baat Aati Hai Ki Aapne Apni Website Par Itni Mehnat To Kar Li Hai Ab Aap Apni Website Se Earning Kaise Kare ?
To Dosto Bahut Saare AddNetwork Abhi Available Ho Chuke Hein Jinse Aap Apni Website Se Earning Kar Sakte Hein,

Dosto Sabse Bada Add-Network Hai Google Adsense Jo Ki Aapko Apne Account Me 100$ Hote Hi Payment Kar Deta Hai our Ye Bahut Hi Trusted Ad-Network Hai.
Ise Approve Karwane Ke Liye Aapki Website Par Trafic Accha Hona Chahiye. Our Acchi Earning Karne Ke Liye Bhi Trafic Hona Bahut Zaroori Hai To Dosto Ghuma Fira Kar Baat Trafic Par Hi Aati Hai.
To Dosto Me Iske Liye Ek Our Post Likh Dunga Ki aap Apni Website Par Trafic Kaise Badha Sakte Hein.
Agar Post Pasand Aayi To Share Zaroor Karein Our Agar Website Se Related Koi Bhi Pareshani Hai To Comments Me Zaroor Bataye.

Thanks For Reading... :)

No comments:

Post a Comment

Post Bottom Ad